Popular Posts

Thursday, November 22, 2012

Shayari

Shayari


Tishnagi Mein Zahar

Posted: 22 Nov 2012 12:16 AM PST

Tishnagi mein zahar pilata hai koi,
jeene ka tarika sikhaata hai koi,
yun na dikhaao mujhe aa’iina dosto,
aa’iine mein dhundhala sa nazar aata hai koi…

- Prashant

Na Humko Aajmao Yaaro

Posted: 22 Nov 2012 12:02 AM PST

Aise na humko aajmao yaaro,
kabhi to gale se lagao yaaro,
mana ye dunia gumon ka hai mela,
mager aise na humko tadpao yaaro,
mana ishq me usne apne layak na samjha,
dosto mein meri sakhsiyat batlao yaaro,
khafa kyun ho mujhse nadan hun main,
mujhe meri galti samjhao yaaro,
aise na humko aajmao yaaro,
kabhi to gale se lagao yaaro…

- Ranjan

No comments: