Popular Posts

Tuesday, December 12, 2006

Shayri

kaho kab saans aati hai
wo jab jab paas aatae hain

kaho kab jaan jaati hai
wo jab jab roott jaatae hain

kaho kab neend aati hai
wo jab khawaaboan main aatae hain

kaho kab neend khulti hai
wo jab chupkae sae aatae hain

kaho kab muskuraatae ho
wo jab bhi muskuraatae hain

kaho kab aankh rooti hai
wo jab aansoo bahaatae hain

kaho kab raat aati hai
wo ghar jab laut aatae hain

kaho kab din nikalta hai
wo jab bhi khilkhilaatae hain

kaho kab RAZ khultae hain
zabaan per jab wo aatae hain
-------------------------------------------------

Masjid ko jalaaya kertae ho
Mandir ko giraaya kertae ho

Nafrat ko bitta ker her dil main
Chaahat ko bhagaaya kertae ho

Ghaeroan ko bhi apna kerna tha
Apnoan ko praaya kertae ho

Ae waqt ka ajger zaalim hai
Tum isko jagaaya kertae ho

Phooloan ki jaga,is gulshan main
Kaantoan ko ugaaya kertae ho

Achcha hai uttatae girtoan ko
Girtoan ko giraaya kertae ho

Naadaan ho,mohabbat ki duniya
Mitti main milaaya kertae ho

Tum apni wafaaoan kae khissae
Behroan ko sunaaya kertae ho

Wo jis ki saza hai tum ko mili
Ab wo hi dobaara kertae ho

Kiya phir sae bahaaraen aayaengi?
Kiyoon khawaab dikhaaya kertae ho

Zindoan ka tumhaen kuch hosh nahin
Khabroan ko sajaaya kertae ho

( insaan jab tak zinda rehta hai us kae liyae duniya ki cheezaen zaroori hain ,mernae kae baat usae na phooloan ki zaroorat hai na agarbattioan ki
magar aksar aesa hota hai khud apnae ghar main koi takleef main hai padoasi dukhi hai kisi ko koi faraq nahin pardta
magar uskae merjaanae kae baad us kae khabr per phooloan ki maalaayaen chardhaayee jaati hain jo kae mernae walae kae kisi kaam ka nahin )

Ab daekh kae apni ae haalat
kiyoon ashk bahaaya kertae ho

Zakhmi hai RAZ ka toota dil
Kiyoon teer chalaaya kertae ho

-------------------------------------------------

KYA TOHFA DOON TUJHE TERI SHAADI MEIN
KUCH TO TERA BHI HISSA HAI MERI BARBAADI MEIN
JAA MAAF KIYA TUJHE APNA KHOON MERE KAATIL
JAATE JAATE DETE TO JAO MERE DIL

Ankhon se aapki aaj ashq kyon bahe
is rishte se koi ek khush to rahe
jalta hai mera dil to jalta rahe
meri vajah se aap kyon pareshaan rahe


pehle bhi to sitam aapke humne sahe
aankhon se pal pal ahsq mere bahe
dil mein phir bhi aap hee aap rahe
aap hain bewafa aapse koun kahe

khata hai meri itnee pyaar aapse karte rahe
aap hee aap par sanam marte rahe
aap hee meri mohabbat sabse kehte rahe
jasbaaton mein akele hum hee behte rahe

aaj chood ke aap yun jaate rahe
geet dard ke hothon par yun aate rahe
kehta hai koi deewana to kehta rahe
chahenge bas tujhe hee sanam kuch bhi hota rahe

mil jaan kabie humko to ye dhyaan rahe
dekhna hame aise jaise nahin pechchaan rahe
kabhie ho humaara jikr to aap anjaan rahe
naam sumkar bhi jaise hume nahin jaan rahe

yaad karna kabhie humko to ye dhyaan rahe
hothon par kabhie naa mera naam rahe
nahin chahta koi aur bewafa kahe
hai ye merea haq mere hee paas rahe

-------------------------------------------------

Hum rahaen na rahaen,naam baqi rahae
Subha baqi rahae,sham baqi rahae

Tishnagi hogi,jab hoga youm-ul-hisaab
Thoda,thoda piyo,jaam baqi rahae

Khud pae kerlo,haraam chaen-o-aaraam tum
Jab talak saans hai,kaam baqi rahae

Jo hain raahaen buri,unko tum choard do
Khaer-o-barkat ki bus gaam baqi rahae

Dil main baqi rahae,naam-ae-ulfat sada
Khaed main dil rahae,daam baqi rahae

Her koi RAZ kae dil main ghar kergiya
Khaas baqi rahae,aam baqi rahae

-------------------------------------------------

Monday, December 11, 2006

Eternal Love








Benaam Sa Ye Dard

Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata,
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata,

Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rahti Hai Nigahe,
Kya Baat Hai Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata,

Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein,
Jo Dur Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata,

Main Apni Hi Uljhi Hui Raho Ka Tamasha,
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata,

Woh Naam Jo Barso Se, Na Chehra Na Badan Hai,
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata

------------------------------------------------------
Bas Itna Hi Kaha Tha Barso Ke Hain Piasay
Honto Pe Rakh Ke Hont Us Ne Khamosh Kar Dia

------------------------------------------------------
Zakhmi Dil

beete hue kal ke kisse yaad rakhte hain.
tute hue dil ke hisse paas rakhte hain.
mujhe shayar se sharabi banane wale,
hum tere toote jaam ke sishe bhi sath rakhte hain.

aansuon ke chalne ki sarsarahat nahi hoti.
dil toot jane ki aahat nahi hoti.
agar hota khuda ko dard ka ehsaas
to use yoon dard dene ki aadat nahi hoti.

------------------------------------------------------
Kasak
Na humne berukhii dekhii na humne dushmanii dekhii,
Tere har ek sitam me humne kitnii saadgii dekhii,

Kabhii har cheez me duniyaa mukammal dekhte the huM,
Kabhii duniyaa ki har ek cheez me terii kamii dekhii,

Na diN me roshanii dekhii , na shab me chaandnii dekhii,
Terii ulfat me humne is kadar bhii zindagii dekhii,

Wo kyaa ehd-e-wafaa denge? Wo kyaa gham kii davaa denge?
Jinhone dekh kar bhii ishq me jannat nahii dekhii??

yahaaN hum dil jalaakar ke kiyaa karte haiN sab roshaN,
wahaaN ek tuM ho jisne dekhii bhii to aaG hii dekhii,

'KasaK' har baar sochaa hai gilaa karnaa na bhoolenge,
Magar har baar bhoole haiN wo aankheiN jab kabhii dekhii...

Na humne berukhii dekhii , na humne dushmanii dekhii.......
------------------------------------------------------
Ghayal

Mere gaalon pe the jo tere labon ke nishaa.N,,
Aansu mere aaj unhe v dho gaye,,
Kuch naya nahi hua hai yahaan aaj yaaron,,
Bas hum "ghayal" the aur "ghayal" ho gaye.
------------------------------------------------------

Yaad mere Ghazalon ki Pehchaan rahe

Kuch aisa Nagma likh jaun yaad mere pehchaan rahe
Kal rahuun na agar mere Ghazalon ki ek pehchaan rahe

Kehte hain log aksar khamoshi batein kiya karti hay
Khamosh rahuun agar mere Nagmon ki zubaan rahe

Kuch aisa Asmaan banaun yaad kabhi Zamana karey
Kal rahuun na agar yaad yeh mere chotti si udaan rahe

Kuch aise Kadam barhaun kadmon ke nishaan rahe
Kal Kadam na barha paun to yaad mere thakaan rahe

Kuch aisa Nazrana laun sath ashaon ka jahaan rahe
Kal agar sath na de koyi to ashaon ka asmaan rahe

Shayad bahut Waqt beet gaya Sukan likhtey likhtey
Khuda aisa hunar de mere Ghazalein mere jaan rahe

------------------------------------------------------
Mohabbat

mujhay appsay to koi shikiyat nahi,
mere naseeb main he mohabbat nahi......

umar qaid ho jayegi pyar karkay,
yeh wo juram hai jiski jamanat nahi......

hum aksar dil say intqaam lete hai,
humay appsay to koi adabat nahi........

meri taqdeer likhkay khuda bhe mukar gaya,
mere gilay pay bola yeh meri likhawat nahi.......

meri chhahat hamesha chhahat he rahegi,
is main khudgarzi ki milawat nahi.......

tera khyaal aiye ,mera sar na jhukay,
itni bebas to meri ibadat nahi.......

tere dil main beshak nahi pyar lakin,
teri aankho main bhe mere liye nafrat nahi.......

main shoonk say tanhai main laut jaounga,
bass ek baar keh do humay appsay ulfat nahi.....

dunia bhar ki buraiya hongi mujh main,
gar nahi hai to 'veer' main sharafat nahi.......

------------------------------------------------------
Dil - Nasheen

Neend ne aankho se jo pehre ko hataya hai
koi dil - nasheen dil ko bohot yaad aaya hai

waise to yaadein uski roz hi aati hai lekin
aaj to jaise ek tufan simat aaya hai

Pyar ki paribhasha badli hai uske aane se
subha haseen sham rangeen huwi lagti hai uske aane se
sang apne wo jaise ek indra - dhanush laya hai

Bholi bhali surat uski,baatein mithi mithi hai
apne andaz se usne duniya sari jeeti hai
lagta hai mujh ko bhi apne rang me rang ne aaya hai

Har pal mujhko chede hai,har pal mujhe sataye hai
bigdu to manane ke liye piche piche aaye hai
uske sath se lagta mujhko ye jahan paraya hai

sunehri zulfein chikni surat aankho me ek masti hai
sochu uske baare me to tanhai mujh ko dhasti hai
chahat ka us ki mujh par ajab khumar chaya hai

Iqraar karna aata nahi inqaar wo kar pata nahi
dur rehna chahe bhi to mujhse wo reh pata nahi
kehta hai maine usko apni jaal mein phasaya hai

Neend ne aankho se jo pehre ko hataya hai
koi dil - nasheen dil ko bohot yaad aaya hai

------------------------------------------------------
Dil ki gehraaiyon me

Dil ki gehraaiyon me, Teri tasveer sanjote hain.
Tujhko yaad kar hum, Hardum,har pal rote hain.
Haan, haan, haan! Rote hain, O, ho, ho! Rote hain.

Aapke baa dab aur hum, Pyar kya karen….
Ishq hi jab dard de, To yaar kya karen….

Teri ye khwaishen, Mere armaanon ko chubhote hain.
Tujhko yaad kar…………ho, ho! Rote hain…!

Kyun toota dil baar-baar, Gar khuda hota hai.
Pyar gar ho saccha, To kyun koi juda hota hai…….

In ashkon ki dariya me, Apna dard dubote hain.
Tujhko yaad kar……………ho, ho! Rote hain…!

Dosti lagti hume ab, Dushmani ki tarah.
Kal tum v mile humse, Ajnabi ki tarah.....

Teri doli me hum, Apne ishq ki laash dhote hain.
Tujhko yaad kar……………ho, ho! Rote hain…!

Dil ki gehraaiyon me, Teri tasveer sanjote hain.
Tujhko yaad kar hum, Hardum,har pal rote hain.

Haan, haan, haan! Rote hain, O, ho, ho! Rote hain.

------------------------------------------------------
Yaadon ka Samandar

aaj phir teri yaadon ka samandar hain,
aaj kyun ye baichainiyo ki savari hain,
aaj kyun hawaon ke sang bah jaane ko dil bekarar hain,
aaj kyun nahi kinaare ki talash humein,
aaj kyun inn tufaano se pyar hain.
aaj phir hum teri yaadon ki kashti mein savar hain.

aaj phir teri yaadon ka samandar hain
aaj phir teri yaadon ka samandar hain

------------------------------------------------------
Palko mein bandh kar lu

Dil kare ki khayalo mein tere yu hi khoye rahe
Tum paas ho mere ... teri bahoan mein hum soye rahe

pyar mein tumhare chahat ki kushbu failati rahu
tu mujh ko dekhe ... mein teri aankho se khud ko sajati rahu

pehli mulaqat ki kashish kabhi kam na ho jaaye
tere hontho se chu kar mein koi sargam banati rahu

Nazar mein bandh kar ke ... tumhe sath apne rakh lu
Koi bhi na dekhe tumhe ..aese apni palko mein bandh kar lu

Tere hi rang se .. Mein to rangi hu ....
mila jab se tu mujh ko ... mein khud ko hi bhuul gayi hu !!!

------------------------------------------------------
Haq to jataaye

Muhabbat ke paath saare humne bhi padhe hai,
Aajmaayein kaise ye koi to bataaye
Manaane ko hum dil-o-jaan lutaa denge
sataane ka haq koi to jataaye..

------------------------------------------------------
Berehm Lamhe

Kya karu main is berehm lamho ka,
Har bar intezar main uska kar leta hu........

Kya kahu main ab usse kuch yaron,
Uski sb bate main dil se sun leta hu.........

Karti hai wo pyaari bate sda mujhse,
Main uski dil ki baten samajh leta hu..........

Adat si ho gayi hai ab uski mujhe,
Ruthe wo to main sada mana leta hu.........

Hasi ke Sath guzarte hai sath me pal,
Raton ki neend uski main chura leta hu...........

Nazar na lag jaye pyaar ko zamane ki,
Chahat ko uski dil me chhupa leta hu.............

Har pal wo deti hai mujhe khusiyan,
Aur ek main hu ki use yuhi rula deta hu...........

------------------------------------------------------