Popular Posts

Tuesday, December 12, 2006

Shayri

kaho kab saans aati hai
wo jab jab paas aatae hain

kaho kab jaan jaati hai
wo jab jab roott jaatae hain

kaho kab neend aati hai
wo jab khawaaboan main aatae hain

kaho kab neend khulti hai
wo jab chupkae sae aatae hain

kaho kab muskuraatae ho
wo jab bhi muskuraatae hain

kaho kab aankh rooti hai
wo jab aansoo bahaatae hain

kaho kab raat aati hai
wo ghar jab laut aatae hain

kaho kab din nikalta hai
wo jab bhi khilkhilaatae hain

kaho kab RAZ khultae hain
zabaan per jab wo aatae hain
-------------------------------------------------

Masjid ko jalaaya kertae ho
Mandir ko giraaya kertae ho

Nafrat ko bitta ker her dil main
Chaahat ko bhagaaya kertae ho

Ghaeroan ko bhi apna kerna tha
Apnoan ko praaya kertae ho

Ae waqt ka ajger zaalim hai
Tum isko jagaaya kertae ho

Phooloan ki jaga,is gulshan main
Kaantoan ko ugaaya kertae ho

Achcha hai uttatae girtoan ko
Girtoan ko giraaya kertae ho

Naadaan ho,mohabbat ki duniya
Mitti main milaaya kertae ho

Tum apni wafaaoan kae khissae
Behroan ko sunaaya kertae ho

Wo jis ki saza hai tum ko mili
Ab wo hi dobaara kertae ho

Kiya phir sae bahaaraen aayaengi?
Kiyoon khawaab dikhaaya kertae ho

Zindoan ka tumhaen kuch hosh nahin
Khabroan ko sajaaya kertae ho

( insaan jab tak zinda rehta hai us kae liyae duniya ki cheezaen zaroori hain ,mernae kae baat usae na phooloan ki zaroorat hai na agarbattioan ki
magar aksar aesa hota hai khud apnae ghar main koi takleef main hai padoasi dukhi hai kisi ko koi faraq nahin pardta
magar uskae merjaanae kae baad us kae khabr per phooloan ki maalaayaen chardhaayee jaati hain jo kae mernae walae kae kisi kaam ka nahin )

Ab daekh kae apni ae haalat
kiyoon ashk bahaaya kertae ho

Zakhmi hai RAZ ka toota dil
Kiyoon teer chalaaya kertae ho

-------------------------------------------------

KYA TOHFA DOON TUJHE TERI SHAADI MEIN
KUCH TO TERA BHI HISSA HAI MERI BARBAADI MEIN
JAA MAAF KIYA TUJHE APNA KHOON MERE KAATIL
JAATE JAATE DETE TO JAO MERE DIL

Ankhon se aapki aaj ashq kyon bahe
is rishte se koi ek khush to rahe
jalta hai mera dil to jalta rahe
meri vajah se aap kyon pareshaan rahe


pehle bhi to sitam aapke humne sahe
aankhon se pal pal ahsq mere bahe
dil mein phir bhi aap hee aap rahe
aap hain bewafa aapse koun kahe

khata hai meri itnee pyaar aapse karte rahe
aap hee aap par sanam marte rahe
aap hee meri mohabbat sabse kehte rahe
jasbaaton mein akele hum hee behte rahe

aaj chood ke aap yun jaate rahe
geet dard ke hothon par yun aate rahe
kehta hai koi deewana to kehta rahe
chahenge bas tujhe hee sanam kuch bhi hota rahe

mil jaan kabie humko to ye dhyaan rahe
dekhna hame aise jaise nahin pechchaan rahe
kabhie ho humaara jikr to aap anjaan rahe
naam sumkar bhi jaise hume nahin jaan rahe

yaad karna kabhie humko to ye dhyaan rahe
hothon par kabhie naa mera naam rahe
nahin chahta koi aur bewafa kahe
hai ye merea haq mere hee paas rahe

-------------------------------------------------

Hum rahaen na rahaen,naam baqi rahae
Subha baqi rahae,sham baqi rahae

Tishnagi hogi,jab hoga youm-ul-hisaab
Thoda,thoda piyo,jaam baqi rahae

Khud pae kerlo,haraam chaen-o-aaraam tum
Jab talak saans hai,kaam baqi rahae

Jo hain raahaen buri,unko tum choard do
Khaer-o-barkat ki bus gaam baqi rahae

Dil main baqi rahae,naam-ae-ulfat sada
Khaed main dil rahae,daam baqi rahae

Her koi RAZ kae dil main ghar kergiya
Khaas baqi rahae,aam baqi rahae

-------------------------------------------------

No comments: