Popular Posts

Friday, November 30, 2012

Shayari

Shayari


Dil Ki Naakam Hasratein

Posted: 29 Nov 2012 06:52 PM PST

Dil ki Naakam Hasratein lekar,
Hum uska intezar kartey hain,
Kash ke woh Laut aaye mujhse ye kehne,
Tum kon hote ho mujhse Bichadne wale,
Jaise guzra ho abhi tu mere darwaze se,
Ab hawa bhi tere aane ki aahat lagti hai,
Bichad ke tune mujhse kbhi ye bhi socha hai,
Adhoora chand bhi kitna udas lagta hai,
Wohi muntazir Nighaien, wohi Sham-e-Gham ka alam,
Hum azal se dekh rhe hain, Teri wapsi ki raahen…. :-(

- MD

Mujhse Mera Haal

Posted: 29 Nov 2012 06:44 PM PST

Aaj usne mujhse mera haal pucha hai,
bada muskil sa sawal pucha hai,
hichkiyon ka aalam tha aur,
baaton ko taal pucha hai,
jyada kuch to nahi par,
jo bhi pucha hai kamal pucha hai…

- Ranjan

Dard Hi Dard

Posted: 29 Nov 2012 06:26 PM PST

dard hi dard bhra hai seene mein,
ab kyu samne aa-aa kar,
takleef de rahe ho jeene mein,

dard hi dard bhra hai seene mein…

- Kamlesh Thakur

Agar Mujhe Se Pyar Hai

Posted: 29 Nov 2012 06:18 PM PST

Agar pyar hai to keh kyu nahi dete,
dil me ikrar hai to keh kyu nahi dete,
Kab tak yun aakhon se hi bayaan karoge pyar,
dil ki har baat jubaan se keh kyu nahi dete,
Mere dil ko yun tadapane se kya hoga,
baat ko yun badhane se kya hoga,
dabe hothon ki muskaan se keh kyu nahi dete,
agar mujhe se pyar hai to keh kyu nahi dethe…

- Prashant Gigaulia

Ye Mehfil Bahut Ajeeb

Posted: 29 Nov 2012 08:38 AM PST

ye mehfil bahut ajeeb hai,
Koi tanha hokar bhi muskurata ha,
koi muskurate hue bhi aansu bahata hai,
koi apne Gamo ki numaish karta hai to,
koi apni khushiyo ke khatir dikhawa karta hai,
Kya paas tha tumhare jise khone ka gam hai tumhe,
Kya yaad tha tumhe jise bhulne ka gam hai tumhe,
Char pal ki zindagi hai, do pal ki zindagani,
fursat kise hai shikayat karne ki mehfil me,
ab muskurane ki hai baari, Zindagi ki is mehfil me,
Kayi mukhote hai is mehfil me yaaron, ye mehfil bahut ajeeb hai…

- Priya Mitra

Wednesday, November 28, 2012

Shayari

Shayari


Zindagi Hum Tujhe

Posted: 27 Nov 2012 07:00 AM PST

Zindagi ki shama mein khud ko jala jayenge
Ae-bewafa zindagi hum tujhe chhor jayenge
kal rahenge saath kiske ye main nahi jaanta
tamanna na rakhna tu meri mojudagi ki
Apna katra katra hum tujhme bhool jayenge…

- Amar

Haseen Andaz Se Mohabbat

Posted: 27 Nov 2012 06:59 AM PST

tu wo chand hai mera,
jise sab apna kehte hain,
Wo hakikat hai meri,
jise sab sapna kehte hain,

itni saadgi hai teri pukar me ae jaan,
tera dil wo ashiyana hai,
jisme meri dhadkane bastee hai…

Tere alfazo ke sang behene lagi hu main,
tere chaahato ke pankh lagakar udne lagi hu main,
tere us bekhouf nazar ki kasam ae jaan,
tere is haseen andaz se mohabbat karne lagi hu main…

- Priya Mitra

Sunday, November 25, 2012

Shayari

Shayari


Haal-e-dil Zuban Pe

Posted: 24 Nov 2012 08:38 AM PST

Kuch Likh Nhi Pate Kuch Suna Nhi Pate
Haal-e-Dil Zuban Pe La Nhi Pate
Wo Utar Gye Hai Dil Ki Gehraiyo Me
Wo Samjh Nhi Pate, Hum Samjha Nhi Pate…

- parmanand yadav

Saath Nibhaate Hum

Posted: 24 Nov 2012 08:36 AM PST

Pal pal uska saath nibhaate hum,
Ek ishare peh duniya chor jate hum,
Samundar ke beech mein pohanch kar fareb kiya usne,
Woh kehta to kinare per hi doob jate hum…

- Parmanand Yadav

Roya Hum Bhi Karte The

Posted: 24 Nov 2012 08:35 AM PST

roya hum bhi karte the unke ruth jane ke baad,
jaaga karte the hum bhi unke sone ke baad.

- Priya Mitra

Jhuth Ka Hai Bolbala

Posted: 24 Nov 2012 08:33 AM PST

Chahat, Mohabat, Pyar is diniya me ye sab hai bekar
Sharm Haya Vishwash, inka ab nahi koi aadhar,
Such ka nahi jhuth ka hai bolbala, is jahaan ka ye niyam hai nirala,
Ham to jite the in shabdo ke sahare par,
duniya ne hume inka sahi matlab shamjha dala…

- Sawan Satle

Apni Izzat

Posted: 24 Nov 2012 08:28 AM PST

Apni izzat ko e isaan bana kar to dekho,
kisi doobte huye ko bacha kar to dekho,
yaha bhi andhera hai waha bhi andhera hai,
is andhere mein ek nannha sa deepak jala kar to dekho,
din ko suraj ki tarhe raat ko chanda sa,
asmano mein taro ki tarhe chamak kar to dekho,
apne watan ki dharti phoolo se bhari hai,
isko aatank se jara bacha kar to dekho,

apni izzat ko e insaan bana kar to dekho…

- Vijay Kumar

Friday, November 23, 2012

Shayari

Shayari


Dil Wale Dil Ki Baat

Posted: 22 Nov 2012 06:38 AM PST

Gustakhi ye hai humari,
Har kisi se Rishta jod Lete Hai,
Log kehte hai mera dil pathar ka hai,
Lekin ae dost,
Kuch log aise hai jo ise bhi tod dete hai…

- Parmanand Yadav

Thursday, November 22, 2012

Shayari

Shayari


Tishnagi Mein Zahar

Posted: 22 Nov 2012 12:16 AM PST

Tishnagi mein zahar pilata hai koi,
jeene ka tarika sikhaata hai koi,
yun na dikhaao mujhe aa’iina dosto,
aa’iine mein dhundhala sa nazar aata hai koi…

- Prashant

Na Humko Aajmao Yaaro

Posted: 22 Nov 2012 12:02 AM PST

Aise na humko aajmao yaaro,
kabhi to gale se lagao yaaro,
mana ye dunia gumon ka hai mela,
mager aise na humko tadpao yaaro,
mana ishq me usne apne layak na samjha,
dosto mein meri sakhsiyat batlao yaaro,
khafa kyun ho mujhse nadan hun main,
mujhe meri galti samjhao yaaro,
aise na humko aajmao yaaro,
kabhi to gale se lagao yaaro…

- Ranjan

Wednesday, November 21, 2012

Shayari

Shayari


Kuch Baki Hai

Posted: 20 Nov 2012 04:01 PM PST

Kisi ki yaad dil me hai,
koi Ehsaas baki hai…
Guzarte waqt ke darmiyan,
koi raaz baki hai…
abhi safar me hu, milegi manzil mujhe,
Magar in raahon me,
uska saath baki hai…
kahi shaam dhali,
kahi raat huyi,
abhi to chand aaya hai,
chandani raat baki hai…
lot aao …
mera haal bhi dekhon,
jism murda hai,
aakhri saans baki hai…
umeed hai,
phir milenge kabhi,
Mere khuda ki rehmat aur.,
pyar ki sougaat baki hai…
kuch baki hai……

Tuesday, November 20, 2012

Shayari

Shayari


Wo Nadaan Hai Dosto

Posted: 19 Nov 2012 06:37 AM PST

Woh Humara Imtihaan Kya Legi,
Milegi Nazro Se Nazrein To Apni Palkein Jhuka Legi,
Usey Meri Maieyat Par Diya Jalane Ko Mat Kehna,
Wo Nadaan Hai Dosto, Apne Haath Jala Legi…

- Shambhu Dayal

Monday, November 19, 2012

Shayari

Shayari


Meri Zindagi Bankar Aaye Tum

Posted: 18 Nov 2012 06:32 AM PST

fiki padi thi zindagi,
kuch rang lekar aaye tum,
nadan thi main aashiqi se,
dil lagi lekar aaye tum,
Zindagi ke bheed me sab kuch pakar bhi akeli thi,
mere bewafai ki galiyo me wafai lekar aaye tum,
Duniya ki berukhi me, kho gayi thi kahin,
ittefaak se hi sahi, mujhe dhundte hue aaye tum,
Haseen thi meri lazmiya, phir bhi kuch kami thi,
meri adhure shabnam me, shabaab bankar aaye tum,
Shikayat thi mujhe apne dil se jo har kahi bhatakta tha,
is bhatke musafir ki manzil bankar aaye tum,
Veerano me baste the mere chahat ke kafile,
wahi mohabbat ki rangeen mehfil lekar aaye tum,
Roshni thi phir bhi andhere me tha mera suroor,
meri zindagi ki raat me mere bedaag chand bankar aaye tum,
Saanse to chal rahi thi, magar zindagi ki talash thi,
yakeen maano ae jaan, meri zindagi bankar aaye tum…

- Priya Mitra

Bura Main Nahi

Posted: 18 Nov 2012 06:22 AM PST

Majboori ne mashhur kiya,
Waqt ne tumse door kiya,
Haalat ne halaat banaye,
Dil ka bura main nahi…
Rishton ne kishte banayi,
Saath toh aakhri dum tak ka hai,
Agar kadam saath na de,
Toh Dil ka bura main nahi…

- Manish Dhaker

Sunday, November 18, 2012

Shayari

Shayari


Mohabbat Hai Toh Zindagi Hai

Posted: 17 Nov 2012 06:22 AM PST

Din guzarta hai,
Raat ho nahi pati.

Dil me sapna hai,
Aankhe so nahi pati.

Raahon me intezar hai,
Mulakaat ho nahi pati.

Fasle kam hi hai par,
Pyar ki wo baat, Ho nahi pati.

Roz mehfile sajti hain,
Par udaasi kho nahi pati.

Mohabbat hai toh zindagi hai,
Agar na ho to, Maut bhi ho nahi pati…

- Manish Dhaker

Nahi Bhoola

Posted: 17 Nov 2012 06:17 AM PST

Aaj mausam badal gaya,
Main wo mausam suhana, nahi bhoola,
Aaj waqt badal gaya,
Main shama ka diwana tha,
Jo jalna, nahi bhoola,
Aaj hawa chali,
Kuch barish huyi,
Main un bundon si aankhon ko,
Nam karna, nahi bhoola…

kho gayi zindagi jab se mere maula,
Tab se main, Kiston me marna, Nahi Bhoola…

- Manish Dhaker

Friday, November 16, 2012

Shayari

Shayari


Sharab Ke Jaam

Posted: 15 Nov 2012 11:40 PM PST

Mahekta hua jism tera gulaab jaisa hai,
neend k safar mein tu khwaab jaisa hai,
do ghoo.nt pee lene de aankhon ki mastiya,
nasha teri aankhon ka sharab ke jaam jaisa hai…

- Prashant Singh

Kya Hai Zindagi

Posted: 15 Nov 2012 11:36 PM PST

lamho ki ek kitab hai zindagi,
sanso aur khayalo ka hisab hai zindagi,
kuch zarurate puri kuch khwaishe adhuri,
bas itne sawalo ka jawab ha zindagi,
Badle huye halat ki dastan ha zindagi,
haseen palon ke khyalat hai zindagi,
kisi panchi ki udan, kahi nanhi si jaan,
isi sargam ka raag ha zindagi,
Kisi rote hue ki kahani hai zindagi,
dard bhari nagmo ki zubani hai zindagi,
kahi pyar, kahi nafrat ki diwar,
bebas nigaho ki yehi aas ha zindagi,
Pathjharon ka sunapan ha zindagi,
suhane mousam ka awarapan ha zindagi,
kahi bhatke raahgir, kahi chalte musafir,
aise kashmakash ki gazal hai zingadi,
Kahi gairo ke rulane ka andaz hai zindagi,
kahi apno ki chahat ka raaz ha zindagi,
itni sasti bhi nahi, itni bedam bhi nahi,
kisi tute huye dil ki aawaz hai zindagi,
Kisi garib ki dard bhari muskan hai zindagi,
kahi muskil to kahi aasan hai zindagi,
sach hai, koi maane ya na maane,
bas ek kanto bhare gulab ki tarah hai zindagi…

- Priya Mitra

http://shayari.me

Ye Tumhari Chahat

Posted: 15 Nov 2012 11:29 PM PST

dil ki gehrayion me ho tum,
phir bhi dhadkano me talashte hain,
ye tumhari chahat ka asar hai,
ki tum humesha mere karib ho,
par phir bhi apni parchayi me talashte hai…

- Priya Mitra

Kasoor To Unka Tha

Posted: 15 Nov 2012 02:27 AM PST

kyu dhadkan albeli hai, tanhayi me bhi,
kyu palke soyi nai judai me bhi,
kasoor to unka tha jo wo hume samajh na sake,
phir saza mili hume kyu ruswayi me bhi…

- Priya Mitra

Apno Ne

Posted: 15 Nov 2012 02:19 AM PST

apno ne pal bhar me begana kar dia,
hasate hasate khud hi rula dia,
saza-e-maut to nai sunayi khuda ne magar,
apno ne wo kasar bhi pura kar dia…

- Priya Mitra

Barsat Sang Aansu

Posted: 15 Nov 2012 02:00 AM PST

kyu aansu behte hain mere waqt bewaqt,
kyu barish thamti nai is roz,
Kya baadal ko mere gam ka andaza hai,
ya uska bhi meri tarah bhiga hai aaghosh…

- Priya Mitra

Mohabbat Ek Haseen Gunah

Posted: 15 Nov 2012 01:13 AM PST

sabne kaha mohabbat ek haseen gunah hai,
koi is gunah ki saza ka dard humse pucho…
sab kehte hai ye dard bahot mitha hota hai,
koi iski karwahat ka raaz humse pucho…

- Priya Mitra

Thursday, November 15, 2012

Shayari

Shayari


Qaum-e-Musalmaan

Posted: 14 Nov 2012 11:44 PM PST

Ye qaum-e-musalmaan kidhar ja rahi hai
falaah hai idhar to kyun ye udhar ja rahi hai
jo qaum pehle sari qaumon ki rehnuma thi
wahi kyun ab pasti me ja rahi hai
na itrao un par jo ghalib the jahan par
sambhalo ise ab kyun ye bikhar ja rahi hai
ye kehte hue wo hote they qurbaan
ki jabl-e-ohad se jannat ki khushbu aa rahi hai
duniya ko ummeed isi qaum se hai
niklegi wahin se ye jidhar ja rahi hai
ye kehta hai mohsin karo tayyari aakhirat ki
ye kisko pata hai k maut  kab aa rahi hai…

- Mohsin

Meri Koi Khata

Posted: 14 Nov 2012 11:40 PM PST

jo phool tum ne dia us me khushboo na rahee,
jo pyar tum ne kia us me wafa na rahee,
ye sab khud b khud hota gya,
is me meri koi khata na rahee…

- nosheen hafeez

Pyar Se Badhkar

Posted: 14 Nov 2012 11:35 PM PST

Pyar se badhkar koi aur shksiyat nahi hoti,
Kuch baato ko kehne ki jarurat nahi hoti,
Tanhaiya khub samajti hain, dilwale ki judaiyo ki dastaan,
Mohabbat me milne ki jarurat nahi hoti,
Koi khamoshi se pyar me jalte rehte hai,
Koi likhkar apne dil ki baatein jahir karte hai,
Mohabbat fir bhi dono karte hain,
Har kisi ki ek jaisi aadat nahi hoti,
Aise mein judai bhi ek hissa hoti zindagi ka,
Hamesha man chahi taaron ki kismet nahi hoti,
Zindagi badi hoti hai,
Saathi se khathi-meethi takrare bhi hoti hai,
Har mausam me bearish nahi hoti,
Tahe dil se pyar ho to,
Bichadte bhi hain rishte,
Ek ek arsa gujar jaata hai, duriyo mein,
Par dilo se humdum ki yaadein kabi nadarad nahi hoti,
Kuch mushkil hone par saath debeki bajaye, imtehaan le,
Itni mamooli hamari dosti nahi hoti…

- Aashiq

Dard Bhari

Posted: 14 Nov 2012 02:31 AM PST

Soch raha hun, Akhir meri jindgi me kya kum hai,
mujhe hashane ka kisme dum hai,
kyon nikalti hai dard bhari shayari dil se,
aakhir mujhko kiska gum hai,
achhe yaaro ka sath bhi hai,
achhi khasi aukat bhi hai,
kyun tanhaiyon se nikal nahi pata hun main,
jaroor dard bhari koi baat bhi hai,
ishq ya dosti aakhir jindgi me kya ahem hai,
kyun nikalti hai dard bhari shayari dil se,
aakhir mujhko kiska gum hai…

- Ranjan

Wednesday, November 14, 2012

Shayari

Shayari


Dil Aik Qabrustan

Posted: 13 Nov 2012 07:32 AM PST

Dil aik Qaberustan ban gya,
Dil ki Khushiyan Qabron ki Trha Bikhar gayi,
wo log Mujse Juda ho gaye,
Jin ko mene smjha Apni sabhi Hasteeyan Tha…

- Nosheen

Ham Sochte Rahe

Posted: 13 Nov 2012 07:29 AM PST

ham sochte rahe hamare aaftab tulu hoga,
ham bhool gaye woh din hi guzar gaye,
jab daman se hi uski saaye chale gaye,
ham sochte rahe yeh dhoop ka khel he,
ham raat ko aatish jalakr baythe the,
hr bar hawa ne bhuja diya,
ham sochte rahe yeh hawa ka khel he,
log jab puchte the uske haal may achcha hi jawab deta tha…
is nadaan dil ko uski kaarsazein pata hi nah thi,
itna rutha koi apna aaj khud se baatein krta hun…

- Farhan Fazlullah

Ye Dipawali

Posted: 13 Nov 2012 02:40 AM PST

Deep nahi dil jale hai khali,
kaise manaun main ye dipawali,
patakho ka sor kaise achha lage mujhe,
jab sataati hai mujhko baccho ki bhi taali,
charo taraf deepo ki roshni bharpoor hai,
per ye dil andhero me rone ko majboor hai,
ab to her dua lage hai gali,
deep nahi dil jale hai khali,
kaise manaaun main ye dipawali…

- Ranjan

Tuesday, November 13, 2012

Shayari

Shayari


Uska Chehra

Posted: 12 Nov 2012 09:04 AM PST

Us ka chehra bhi sunata hai kahani uski,
per chaahta hun ki sunoo zubani uski,
woh sitamgar hai to ab usase sikayat kaisi,
aur sitam karna bhi aadat hai purani uski,
bahot keemati hai ye mere palkon ke moti,
chand aanshu hain mere pass nisaani uski,
us bewafa ko maaloom nahi ki woh kya hai,
us bemurwat ko taswir hai dikhani uski,
uska chehra bhi sunata hai kahani uski,
per chahta hun sunoo zubani uski…

- Ranjan

Zindagi Se Pareshan

Posted: 12 Nov 2012 08:10 AM PST

Zindagi se pareshan hoon,
Khud se main anjaan hoon,
Koi mujhe sahara dede,
Mai ek akela insan hoon,

Mohabbat se dar lagta hai,
Bewafai ka samandar lagta hai,
Koi mujhe sahara dede,
Mai ek akela insaan hoon,

Dosti ki ummeed mein jeeta hoon,
Din raat main bas rota hoon,
Koi mujhe sahara dede,
Mai ek akela insaan hoon,

- Saleem Khazi