Popular Posts

Thursday, January 26, 2012

Aankho mein

Naam to likh du uska
HaR DaR_O_DeewaR Par "Magar"
Ye KhayaL Aata Hai Mere"Dost"
"MaSOoM"Hai Mera "SanaM"
Kahi BadnaaM Na Ho Jaye



*************************************


KHUBSURAT" ho toh kya hua,
khubsurat "insan hi hua karte hai
khubsurti par itna gumaan mat kar,
kyoki khubsurat hi "badnaam hua karte hai!



************************************


Aankho"Me
Teri TaSveer Hai
Jubaa"Par
Tera Naam Hai,
Kya
Kare"SaNaM
Hum
To Teri Hi Chahat
Me"Badnaam Hai



***********************************

Teri Dosti

TERI DOSTI NE DARD SEHNA SIKHA DIYA MERI ROOH KO JEENA SIKHA DIYA TU KYA JANE KYA THA TERA SATH TERE SATH NE MERE AANSOOU KO MUSKURANA SIKHA DIYA

Mohhobat Rog hai


*** MUHABBAT ROG HAY JAANA ***


Muhabbat Rog Hay Jaana
Ajab Sanjog Hay Jaana
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana
Baray Borhay Btatay Thy
Kayi Qissay Sunatay Thy
Magar Hum Mantay Kab Thy
Yeh Sab Kuch Jantay Kab Thy
Yeh Baatein Zikr k Qabil
Bhala Gardantay Kab Thy
Ana k Takht Par Baithy
Humein Maloom Hi Kab Tha
Ana k Takht Se Ooper
Bohat Sari Bulandi Par
Kahin Pariyon k Jhurmat Mein
Tery Pairoon Ki Payel Mein
Tery Chotay Se Gaaon Mein
Ghani Zulfoon Ki Chaaon Mein
Sitaray Chaand Sooraj
Walehana Raqs Kartay Hain
Humein Maloom Hi Kab Tha
Tery Qadmon Ki Aahat Par
Gulabi Muskurahat Par
Tery Hontoon Ki Jumbash Par
Tery Sir k Isharay Par
Sada-e-DilBrana Par
Nigah-e-Qatilana Par
Jafa-e-Mehrmana Par
Ada-e-Kafirana Par
Chaman k Phool Saray
Iss Tarah Se Dhayan Detay Hain
Zara Se Wasl k Jhansey Mein
Apni Jaan Detay Hain
Humein Kab ILM Tha Jaana
Tery Pekar Se Dhul kar
Chandani Har Soo Bikharti Hay
Shab-e-Mahtab Ki Doshezgi
Kaisy Nikharti Hay
Teri Payel Ki Chan Chan
Mann Mein Kya Ghanti Bajati Hay
Teri Awaz Veerany Mein
Kya Jadu Jagati Hay
Tery Naghmay Fiza Mein
KisTarah Jal Tarang Bajaty Hain
Bohat Pukhta Iraday
Kis Tarah Se Toot Jatay Hain
Humein Idraak Hi Kab Tha
Humein Kamil Bharosa Tha
Hamary Sath Kisi Surat
Bhi Aisa Nahi Ho Ga
Dil-e-Nadaan Kabhi
Qaboo Se BeQaboo Nahi Ho Ga
Yeh DuniyaDaar
DuniyaDaar Se Saadhuu Nahi Ho Ga
Magar....

Magar Phir Yun Huwa Jaana
Na Janay Kiun Huwa Jaana
Bara Afsoon Huwa Jaana
Jigar Ka Khoon Huwa Jaana
Tery Abroo Ki Ik Jumbash
Se Ghayel Ho Gaye Hum b
Baray Be Multafit Phirtay Thy
Maayel Ho Gaye Hum b
Sakhawat Karnay Aye Thy
Aur Saayel Ho Gaye Hum b
Baray Borhoon Ki In Baaton k
Qaayel Ho Gaye Hum b

K .....
Muhabbat Rog Hay Jaana
Ajab Sanjog Hay Jaana
Yeh Kaisa Jog Hay Jaana...!!!

Ek ansu

Jo ansu ki tarah behta gya wo raqt hu mai….
jise qadam qadam par ajmaya gya wo waqt hu mai…..
shayad isi tarah “honey” likhi meri taqdeer khuda ne ….
jise chahne wala to mila par chaha na gya aise shaqs hu mai…


***************************************************


Chahe Yaad Rakhna Ya Bhul Jana
Hume Apne Ansuo Ki Wajah Mat Banana
Apke Apne Na Ban Sake Koi Baat Nahi
Begana Keh Kar Mazak Mat Udana


***************************************************


Dard ko dil me chhupa lete he,
Ham nahi rote halaat rula dete he.
Har pal yaad karte he aapko,
Aap bhul jane ka ilzam laga dete he


***************************************************


Hum Nashe Me Nashe Ke Gulam Ho gaye
Nasha Pyar Ka Tha Usme
Badnaam Ho gaye..


***************************************************

Jalta Deepak

जलते दीपक सा लगता हूँ ..
जीता हूँ जब खुद को खोकर..
जब जब लगता संभला हूँ मै
तब तब खा जाता हूँ ठोकर
पर हर पल दो पल की ठोकर,बस ये ही बात बताती है..
बिन अँधेरे की रातों के ,कोई सुबह कहाँ फिर आती है...||

जब जब लगता मैं बरसा हूँ
दूजों की प्यास बुझाने को,
हर बूँद सिहर उठती है तब
मेरी प्यास मुझे समझाने को...
पर उस प्यासे से सावन ने ,बस ये ही बात सिखाई है..
जितना भी जलन हो सूरज को,एक आह मगर नही आयी है ...

जब जब लगता मजबूत हूँ मैं
टूटा हूँ टुकडो से बदतर..
जब जब लगता मैं जीता हूँ
हारा हूँ तब खुद से अक्सर
पर हर उन मिलती हारों ने ,जीने का ढंग सिखाया है..
हैं रंग उतारे जब सबके ,तब रंग मेरा ये आया है..||

जब जब लहरों सा उठा हूँ मैं
साहिल ने मौज उड़ाई है ..
जब साथ कभी पाना चाहा
तब दूर हुई परछाई है ...
पर हर एक उस परछाई ने ,बस ये ही बात सिखाई है...
तुम खुद में ही पूरे से हो,किस बात की फिर तन्हाई है...||

Badnaam Shayar

Woh bachpan Bhi kitna Haseen tha, jab sar-e- Aam Roya krtey they,
Ab Ek bhi Aansoo Nikle to, log hazaron Sawal krte Hain..


*******************************************************
Teri Aawaz Aaj Bhi Mere Kano'on Mein Gunja Karti Hai,
Wo Tera Ek Baar Ka Kehna Key "Tum Sirf Meri ho"


*******************************************************
Alfaaz To Bohot Hain Meri Mohabbat Bayan Karne K Liye
Jo Meri Khamoshi Nahi Samajhte, Mere Alfaaz Kya Samajhenge


*******************************************************
Ek muddat baad mili qaid sey aazadi,
Par jab mili aazadi, To pinjrey sey pyar ho gya...


******************************************************


Kabhee Tum Miloo Kabhee Hum
Mulakato Kaa Yeh Silsila Yuhi Chaltaa Rahe


Yuhi Muskurate Raho Tum
Aur Ye Hasin Pal Ka Safar Yuhi Chalta Rahe

Shaam Ho Tandi Hawa Chale
Tumhari Kushbu Hum Yuhi Mehsus Karte Rahe

Raat Ho Chandini Ka Intezaar Na Rahe
Subah Ho To Roshni Ka Nazar Na Rahe

Tum Ho Sirf Tum
Tumhare Siva Humhe Kisi Ki Etbaar Hi Na Rahe…



******************************************************

Shayar wo nahi

Shayar voh nahi jo kalam utha liya karte hai,
Shayar voh bhi nahi jo tareefo pe jiya karte hai.
Shayar toh voh sakhas hote hai,
Jo dard ko bhi tadpa diya karte hai…
Kaun kambaqt bardhast krne ke liye pita hai, me to Isliye pita Hun ki Bas hosh mein na rahu..........

Dil ki kalam se

न जाने क्यूँ गले से लिपट कर रोने लगा जब हम बरसों बाद मिले 
जाते हुए जिस ने कहा था कि................" तुम जैसे लाखों मिलेंगे "

Wo beeti hui raat

Vo biti hui raat kisi se na kahena...
vo sapno wali baat kisi se na kahena...
Kaise the vo badal aur Kaisi thi vo beejlee...
Aur kaisi hui barsat kisi se na kehana...

Deewana Tera

कहाँ फिजूल में कहते हैं कुछ कहने के वास्ते 
इतना कह दिया यही बहुत है कहने के वास्ते .......

Ek Baat..

Ek baat honthon tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon se hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pahen ke honthon tak aa jaaye woh
Awaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ehsaas hi ehsaas hai
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be awaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chhupta nahin
Yeh jaane kaisa Raaz hai...............................


Deewana Tera